Is Tarah Khush Hun Kisi Ke Waada-e-Fardaa Pe Main

/Dard Shayari/Heart Touching Shayari/Jigar Moradabadi/Sad Urdu Poetry/Two Line Shayari/Urdu Poetry Images/

Is Tarah Khush Hun Kisi Ke Waada-e-Fardaa Pe Main
Dar-Haqeeqat Jaise Mujh Ko Etibaar Aa Hi Gaya

اس طرح خوش ہوں کسی کے وعدۂ فردا پہ میں

در حقیقت جیسے مجھ کو اعتبار آ ہی گیا

इस तरह ख़ुश हूँ किसी के वादा-ए-फ़र्दा पे मैं

दर-हक़ीक़त जैसे मुझ को ए’तिबार ही गया

Rafaqaton Ke Nai Khawab  Khushnuma

/Parveen Shakir Poetry/Two Line Shayari/Urdu Poetry Images/

Rafaqaton Ke Nai Khawab  Khushnuma Hain Magar
Guzar Chuka Hai Teri Aitbaar Ka Mausam

رفاقتوں کے نئے خواب خوش نما ہیں مگر

گزر چکا ہے ترے اعتبار کا موسم

रफ़ाक़तों के नए ख़्वाब ख़ुशनुमा हैं मगर

गुज़र चुका है तिरे ए’तिबार का मौसम

Tu Ne Kasam Mai-Kashi Ki Khaayi Hai

/Mirza Ghalib Shayari/

Tu Ne Kasam Mai-Kashi Ki Khaayi Hai ‘Ghalib’
Teri Kasam Ka Kuch Aitbaar Nahi Hai

تو نے قسم مے کشی کی کھائی ہے غالبؔ

تیری قسم کا کچھ اعتبار نہیں ہے

तू ने क़सम मय-कशी की खाई है ‘ग़ालिब’

तेरी क़सम का कुछ ए’तिबार नहीं है

  • By:

Aitbaar-e-Ishq Ki Khana-Kharabi Dekhna

/Ishq Poetry/Mirza Ghalib Shayari/

Aitbaar-e-Ishq Ki Khana-Kharabi Dekhna
Ghair Ne Ki Aaah Lekin Wo Khafa Mujh Per Hua

اعتبار عشق کی خانہ خرابی دیکھنا

غیر نے کی آہ لیکن وہ خفا مجھ پر ہوا

ए’तिबार-ए-इश्क़ की ख़ाना-ख़राबी देखना

ग़ैर ने की आह लेकिन वो ख़फ़ा मुझ पर हुआ

  • By:

Khudi Hai Izzat o Yaqeen Ka Dastoor Mian

/Chahat Shayari/Dua Shayari/Ghazal/Ishq Poetry/

Khudi Hai Izzat o Yaqeen Ka Dastoor Mian

Jo Dekh Lia Kahin Pe Yeh Satoor Mian

Hai Ishq Woh Bala Ke Kaun Idhar Apna

Hai Ishq Mein Dikhta Kahan Fatoor Mian

Yeh Ishq Baazon Ki Basti Idhar Kahan Aaye

Yeh Woh Aitbaar Jo Num Aur Phir Choor Choor Mian

Hai Meri Yeh Chah Ek Dua Khuda Se

Mil Kar Bhool Gaya Wafa Hun Jo Majbur Mian

Tum Yawar Idhar Udhar Kiun Bhatakte Ho

Karun Ga Haasil Usko Magar Zarur Mian

  • By: