
aadat
Mujh ko dushman ke iradon pe bhi pyar aata hai

Mujh ko dushman ke iradon pe bhi pyar aata hai
Teri ulfat ne mohabat meri aadat kar di
مجھ کو دشمن کے ارادوں پہ بھی پیار آتا ہے
تری الفت نے محبت مری عادت کر دی
Adatan tum ne kar diye vaade

Adatan tum ne kar diye vaade
Adatan ham ne etibar kiya
عادتاً تم نے کر دیے وعدے
عادتاً ہم نے اعتبار کیا
आदतन तुम ने कर दिए वादे
आदतन हम ने ए’तिबार किया
Waqt rahta nahin kahin Tik kar

Waqt rahta nahin kahin Tik kar
Aadat is ki bhi aadmi si hai
وقت رہتا نہیں کہیں ٹک کر
عادت اس کی بھی آدمی سی ہے
वक़्त रहता नहीं कहीं टिक कर
आदत इस की भी आदमी सी है
Ai gham-e-zindagi na ho naraz

Ai gham-e-zindagi na ho naraz
Mujh ko aadat hai muskurane ki
اے غم زندگی نہ ہو ناراض
مجھ کو عادت ہے مسکرانے کی
ऐ ग़म-ए-ज़िंदगी न हो नाराज़
मुझ को आदत है मुस्कुराने की
Ye Hawa Kaise Urah Le Gai Anchal Mera

Ye Hawa Kaise Urah Le Gai Anchal Mera
Yuun Satane Ki To Aadat Meri Ghanshyam Ki Thi
یہ ہوا کیسے اڑا لے گئی آنچل میرا
یوں ستانے کی تو عادت مرے گھنشیام کی تھی
ये हवा कैसे उड़ा ले गई आँचल मेरा
यूँ सताने की तो आदत मिरे घनश्याम की थी
Wo Kahin Bhi Gaya Lauta To Mere Pass

Wo Kahin Bhi Gaya Lauta To Mere Paas Aaya
Bas Yahi Baat Hai Achi Meri Harjai Ki
وہ کہیں بھی گیا لوٹا تو مرے پاس آیا
بس یہی بات ہے اچھی مرے ہرجائی کی
वो कहीं भी गया लौटा तो मिरे पास आया
बस यही बात है अच्छी मिरे हरजाई की
Jin Jin Ko Tha Ye Ishq Ka Azar Mar Gaye
