John Elia Poetry
Ek Dil Hai Jo Har Lamha Jalane
Ek Dil Hai Jo Har Lamha Jalane Ke Liya Hai,
Jo Kuch Hai Yahan Aag Lagan Ke Liye Hai
اِک دل ہے جو ہر لمحہ جلانے کے لئے ہے
جو کچھ ہے یہاں آگ لگانے کے لئے ہے
ilaaj Yeh Hai Ke Majboor Kar Diya Jaaun
ilaaj Yeh Hai Ke Majboor Kar Diya Jaaun,
Warna Yun Toh Kisi Ki Nahi Suni Maine.
इलाज ये है कि मजबूर कर दिया जाऊँ,
वगरना यूँ तो किसी की नहीं सुनी मैंने।
علاج یہ ہے کہ مجبور کر دیا جاؤں
ورنہ یوں تو کسی کی نہیں سُنی میں نے
Bala Ke Gham Uthaye Jaa Rahe Hain
Bala Ke Gham Uthaye Jaa Rahe Hain
Jafa Ke Teer Khaye Jaa Rahe Hain
Fida Karne Ko Deen e MUSTAFA (S.A.W.W) Per
ALI AKBER Sajaye Jaa Rahe Hain
Kadam Doshe Nabuwat Per Thay Jinke
Woh Kaaton Per Phiraye Jaa Rahe Hain
Jahan Be Azan Aate Thay Na Jibreel
Woh Kashaane Jalaye Jaa Rahe Hain
Bithate Thay NABI (S.A.W.W) Kandhon Pe Jinko
Woh Naizon Se Giraye Jaa Rahe Hain
Hua Tha Jaun Qaim Jinse Parda
Woh Bazaron Mein Laye Jaa Rahe Hain
Kaun Iss Ghar Ki Dekh Bhaal Kare, Roz Ek
Kaun Iss Ghar Ki Dekh Bhaal Kare,
Roz Ek Cheez Tut Jaati Hai
کون اس گھر کی دیکھ بھال کرے
روز اک چیز ٹوٹ جاتی ہے
Hum Sune Aur Sunaye Jaate Thay, Raat
Dil Guman Tha Gumaniyan thay hum
haan miyan dastaniyan thay hum
ham sune aur sunaye jaate thay
raat bhar ki kahaniyan thay hum
jaane ham kis ki bo-ud ka thay saboot
jaane kis ki nishaniyan thay hum
chhorte kyun na hum zameen apnī
aḳhirash asmaniyan thay hum
zarra bhar bhī na thi numud apni
aur phir bhī jahaniyan thay hum
hum na thay ek aan ke bhi magar
javedan javidaniyan thay hum
rose ik ran tha tir-o-tarkash bin
the kamin aur kamaniyan thay hum
arġhavani tha vo piyala-e-naf
hum jo thay urġhavaniyan thay hum
nar-e-pistan thī vo qattala
aur havas-darmiyaniyan thay hum