Kaash main teri mulaqat ko khud hi aata

/Abdul Hameed Adam/Two Line Shayari/

Kaash main teri mulaqat ko khud hi aata
Tuur par bhej ke muusa ko pasheman huun main

کاش میں تیری ملاقات کو خود ہی آتا

طور پر بھیج کے موسیٰ کو پشیماں ہوں میں

काश मैं तेरी मुलाक़ात को ख़ुद ही आता

तूर पर भेज के मूसा को पशेमाँ हूँ मैं

Kis ko samjhane lage aap janab-e-naseh

/Abdul Hameed Adam/Two Line Shayari/

Kis ko samjhane lage aap janab-e-naseh
Main to nadan huun magar aap to nadan nahin

کس کو سمجھانے لگے آپ جناب ناصح

میں تو ناداں ہوں مگر آپ تو نادان نہیں

किस को समझाने लगे आप जनाब-ए-नासेह

मैं तो नादाँ हूँ मगर आप तो नादान नहीं

Pir-e-muġhan se ham ko koi bair to nahin

/Abdul Hameed Adam/Two Line Shayari/

Pir-e-muġhan se ham ko koi bair to nahin

Thoda ikhtilaf hai mard-e-ḳhuda ke saath

یر مغاں سے ہم کو کوئی بیر تو نہیں

تھوڑا سا اختلاف ہے مرد خدا کے ساتھ

पीर-ए-मुग़ाँ से हम को कोई बैर तो नहीं

थोड़ा सा इख़्तिलाफ़ है मर्द-ए-ख़ुदा के साथ

Tabah ho ke haqaeq ke khurdure-pan se

/Abdul Hameed Adam/Two Line Shayari/

Tabah ho ke haqaeq ke khurdure-pan se
Tasavvurat ki taamir kar raha huun main

تباہ ہو کے حقائق کے کھردرے پن سے

تصورات کی تعمیر کر رہا ہوں میں

तबाह हो के हक़ाएक़ के खुरदुरे-पन से

तसव्वुरात की ता’मीर कर रहा हूँ मैं

Hujum-e-hashr men kholunga adl ka daftar

/Abdul Hameed Adam/Two Line Shayari/

Hujum-e-hashr men kholunga adl ka daftar
Abhi to faisle tahrir kar raha huun main

ہجوم حشر میں کھولوں‌ گا عدل کا دفتر

ابھی تو فیصلے تحریر کر رہا ہوں میں

हुजूम-ए-हश्र में खोलूँगा अद्ल का दफ़्तर

अभी तो फ़ैसले तहरीर कर रहा हूँ मैं

Ye alag baat hai saaqi ki mujhe hosh nahin

/Abdul Hameed Adam/

Ye alag baat hai saaqi ki mujhe hosh nahin
Hosh itna hai ki main tujh se faramosh nahin

یہ الگ بات ہے ساقی کہ مجھے ہوش نہیں

ہوش اتنا ہے کہ میں تجھ سے فراموش نہیں

ये अलग बात है साक़ी कि मुझे होश नहीं

होश इतना है कि मैं तुझ से फ़रामोश नहीं

jhaad kar gard-e-gham-e-hasti ko uḌ jaunga main

/Abdul Hameed Adam/Two Line Shayari/

jhaad kar gard-e-gham-e-hasti ko uḌ jaunga main
be-khabar aisi bhi ik parvaz aati hai mujhe

جھاڑ کر گرد غم ہستی کو اڑ جاؤں گا میں

بے خبر ایسی بھی اک پرواز آتی ہے مجھے

झाड़ कर गर्द-ए-ग़म-ए-हस्ती को उड़ जाऊँगा मैं

बे-ख़बर ऐसी भी इक परवाज़ आती है मुझे