Tasveer Ke Do Rukh Hain Jaan Aur Gam-e-Janaan

/Heart Touching Shayari/Jigar Moradabadi/Sad Urdu Poetry/Two Line Shayari/Urdu Poetry Images/Urdu Poetry Sms/

Tasveer Ke Do Rukh Hain Jaan Aur Gam-e-Janaan
Ik Naqsh Chupana Hai Ik Naqsh Dikhana Hai

تصویر کے دو رخ ہیں جاں اور غم جاناں

اک نقش چھپانا ہے اک نقش دکھانا ہے

तस्वीर के दो रुख़ हैं जाँ और ग़म-ए-जानाँ

इक नक़्श छुपाना है इक नक़्श दिखाना है

Kaun Kehta Hai Mulaqat Meri Aaj Ki Hai

/Wasi Shah Poetry/

Kaun Kehta Hai Mulaqat Meri Aaj Ki Hai
Tu Meri Rooh k Andar Hai Kai Sadiyon Se

کون کہتا ہے ملاقات مری آج کی ہے

تو مری روح کے اندر ہے کئی صدیوں سے

कौन कहता है मुलाक़ात मिरी आज की है

तू मिरी रूह के अंदर है कई सदियों से

Leta Hun Maktab-e-Gham-e-Dil Mai

/Mirza Ghalib Shayari/

Leta Hun Maktab-e-Gham-e-Dil Mai Sabaq Hanuz
Lekin Yahi Ki Raft Gaya Aur Bud Tha

لیتا ہوں مکتب غم دل میں سبق ہنوز

لیکن یہی کہ رفت گیا اور بود تھا

लेता हूँ मकतब-ए-ग़म-ए-दिल में सबक़ हनूज़

लेकिन यही कि रफ़्त गया और बूद था

  • By:

Ek Tamanna Hai Faqt Mujh Pe Meherbaan Raho

/Chahat Shayari/Ghazal/

Ek Tamanna Hai Faqt Mujh Pe Meherban Raho

Tum Kisi Aur Ko Dekho Toh Bura Lagta Hai

Meri Chahat Ka Taqaza Hai Mere Sath Raho

Ghair Ka Hath Jo Thamo Toh Bura Lagta Hai

Arzoo Hai Tere Har Roop Ko Har Pal Dekhun

Tum Mere Paas Se Utho Toh Bura Lagta Hai

Roz o Shab Aaj Bhi Parwah Hai Tumhari Mujh Ko

Tum Kisi Aur Ko Socho Toh Bura Lagta Hai

Rooh Meri Tarasti Hai Tumhari Khushbu Ko

Tum Kahin Aur Ja Ke Meheko Toh Bura Lagta Hai

  • By: