poetry
Gumnami Ke Andhere MeIN Tha Ek Pehchaan
Gumnami Ke Andhere Mein Tha
Ek Pehchaan Bana Diya
Duniya Ke Gum Se Mujhe
Unhone Anjaan Bana Diya
Unki Aisi Mehrbani Huyi Ke
Ustad Ji Ne Mujhe Ek Achha
Insaan Bana Diya
گُمنامی کے اندھیرے میں تھا
ایک پہچان بنا دیا
دُنیا کے غم سے مجھے
اُنہوں نے انجان بنا دیا
اُن کی ایسی مہربانی ہوی کہ
اُستاد جی نے مجھے اک
اچھا انسان بنا دیا
Tum Hee Se Raaste Milte Hain Jaa Kar
Tum Hee Se Raaste Milte Hain Jaa Kar
Tum Hee Toh Ho Koi Dil Mein Agar Hai
Teri Tasveer Ko Chune Se Pehle
Teri Pakeezgi Mad-e-Nazar Hai
تم ہی سے راستے ملتے ہیں جا کر
تم ہی تو ہو کوئی دل میں اگر ہے
تیری تصویر کو چُھونے سے پہلے
تیری پاکیزگی مدِنظر ہے
Kaun Iss Ghar Ki Dekh Bhaal Kare, Roz Ek
Kaun Iss Ghar Ki Dekh Bhaal Kare,
Roz Ek Cheez Tut Jaati Hai
کون اس گھر کی دیکھ بھال کرے
روز اک چیز ٹوٹ جاتی ہے
Hum Sune Aur Sunaye Jaate Thay, Raat
Dil Guman Tha Gumaniyan thay hum
haan miyan dastaniyan thay hum
ham sune aur sunaye jaate thay
raat bhar ki kahaniyan thay hum
jaane ham kis ki bo-ud ka thay saboot
jaane kis ki nishaniyan thay hum
chhorte kyun na hum zameen apnī
aḳhirash asmaniyan thay hum
zarra bhar bhī na thi numud apni
aur phir bhī jahaniyan thay hum
hum na thay ek aan ke bhi magar
javedan javidaniyan thay hum
rose ik ran tha tir-o-tarkash bin
the kamin aur kamaniyan thay hum
arġhavani tha vo piyala-e-naf
hum jo thay urġhavaniyan thay hum
nar-e-pistan thī vo qattala
aur havas-darmiyaniyan thay hum