
raat
Ikka-dukka sada-e-zanjir

Ikka-dukka sada-e-zanjir
Zindan mein raat ho gai hai
اکا دکا صدائے زنجیر
زنداں میں رات ہو گئی ہے
इक्का-दुक्का सदा-ए-ज़ंजीर
ज़िंदाँ में रात हो गई है
Targhib-e-gunah lahza lahza

Targhib-e-gunaah lahza lahza
Ab raat jawan ho gai hai
ترغیب گناہ لحظہ لحظہ
اب رات جوان ہو گئی ہے
तर्ग़ीब-ए-गुनाह लहज़ा लहज़ा
अब रात जवान हो गई है
Is daur mein zindagi bashar ki

Is daur mein zindagi bashar ki
Bimar ki raat ho gai hai
اس دور میں زندگی بشر کی
بیمار کی رات ہو گئی ہے
इस दौर में ज़िंदगी बशर की
बीमार की रात हो गई है
Waqt-e-ghurub aaj karamat ho gai

Waqt-e-ghurub aaj karamat ho gai
Zulfon ko us ne khol diya raat ho gai
وقت غروب آج کرامات ہو گئی
زلفوں کو اس نے کھول دیا رات ہو گئی
वक़्त-ए-ग़ुरूब आज करामात हो गई
ज़ुल्फ़ों को उस ने खोल दिया रात हो गई
Raat bhi neend bhi kahani bhi

Raat bhi neend bhi kahani bhi
Haaye kya chez hai jawani bhi
رات بھی نیند بھی کہانی بھی
ہائے کیا چیز ہے جوانی بھی
रात भी नींद भी कहानी भी
हाए क्या चीज़ है जवानी भी
Bohat dino mein mohabbat ko ye hua maalom
/Chahat Shayari/Firaq GorakhPuri Shayari/Sad Urdu Poetry/Tanha Shayari/Two Line Shayari/Urdu Poetry Images/

Bohat dino mein mohabbat ko ye hua maalom
Jo tere hijar mein guzri wo raat raat hui
بہت دنوں میں محبت کو یہ ہوا معلوم
جو تیرے ہجر میں گزری وہ رات رات ہوئی
बहुत दिनों में मोहब्बत को ये हुआ मा’लूम
जो तेरे हिज्र में गुज़री वो रात रात हुई
Aaj ki raat bhi tanha hi kati

Aaj ki raat bhi tanha hi kati
Aaj ke din bhi andhera hoga
آج کی رات بھی تنہا ہی کٹی
آج کے دن بھی اندھیرا ہوگا
Yahi duniya thi magar aj bhi yun lagta hai

Yahi duniya thi magar aj bhi yun lagta hai
Jesy kaati ho tery hijr ki raatein kahin aur
یہی دنیا تھی مگر آج بھی یوں لگتا ہے
جیسے کاٹی ہوں ترے ہجر کی راتیں کہیں اور
Chup kahin aur liye phirti thi baatein kahin aur
