
love
Us Ki Surat Ko Dekhta Hun Main

Us Ki Surat Ko Dekhta Hun Main
Meri Sseerat Wo Dekhta Hi Nahin
اس کی صورت کو دیکھتا ہوں میں
میری سیرت وہ دیکھتا ہی نہیں
उस की सूरत को देखता हूँ मैं
मेरी सीरत वो देखता ही नहीं
Niyaaz o Naaz Ke Jhagde Mitae Jaate Hain
/Happy Shayari/Heart Touching Shayari/Husn Shayari/Jigar Moradabadi/Sad Urdu Poetry/Two Line Shayari/Urdu Poetry Images/

Niyaaz o Naaz Ke Jhagde Mitae Jaate Hain
Hum Un Mein Aur Wo Hum Mein Samae Jaate Hain
نیاز و ناز کے جھگڑے مٹائے جاتے ہیں
ہم ان میں اور وہ ہم میں سمائے جاتے ہیں
नियाज़ ओ नाज़ के झगड़े मिटाए जाते हैं
हम उन में और वो हम में समाए जाते हैं
Laakhon Mein Intikhaab Ke Qaabil Bana Diya
/Dil Shayari/Heart Touching Shayari/Husn Shayari/Ishq Poetry/Jigar Moradabadi/Two Line Shayari/Urdu Love Poetry/Urdu Poetry Images/

Laakhon Mein Intikhaab Ke Qaabil Bana Diya
Jis Dil Ko Tum Ne Dekh Liya Dil Bana diya
لاکھوں میں انتخاب کے قابل بنا دیا
جس دل کو تم نے دیکھ لیا دل بنا دیا
लाखों में इंतिख़ाब के क़ाबिल बना दिया
जिस दिल को तुम ने देख लिया दिल बना दिया
Dhadakne Lagaa Dil Nazar Jhuk Gai

Dhadakne Lagaa Dil Nazar Jhuk Gai
Kabhi Un Se Jab Samna Ho Gaya
دھڑکنے لگا دل نظر جھک گئی
کبھی ان سے جب سامنا ہو گیا
धड़कने लगा दिल नज़र झुक गई
कभी उन से जब सामना हो गया
Aaj aghosh mein tha aur koi
/Chahat Shayari/Dil Shayari/Firaq GorakhPuri Shayari/Romantic Urdu Poetry/Two Line Shayari/Urdu Love Poetry/Urdu Poetry Images/

Aaj aghosh mein tha aur koi
Der tak ham tujhe na bhool sake
آج آغوش میں تھا اور کوئی
دیر تک ہم تجھے نہ بھول سکے
आज आग़ोश में था और कोई
देर तक हम तुझे न भूल सके
Tere pahlo mein kyun hota hai mehsos

Tere pahlo mein kyun hota hai mehsos
Ke tujh se door hota ja raha hon
ترے پہلو میں کیوں ہوتا ہے محسوس
کہ تجھ سے دور ہوتا جا رہا ہوں
तिरे पहलू में क्यूँ होता है महसूस
कि तुझ से दूर होता जा रहा हूँ
Jis mein ho yaad bhi teri shamil

Jis mein ho yaad bhi teri shamil
Haaye us be-khudi ko kya kahiye
جس میں ہو یاد بھی تری شامل
ہائے اس بے خودی کو کیا کہیے
जिस में हो याद भी तिरी शामिल
हाए उस बे-ख़ुदी को क्या कहिए
Raat Ke Shayad Ek Baje Hain
