ہم جس پہ مر رہے ہیں وہ ہے بات ہی کچھ اور
عالم میں تجھ سے لاکھ سہی تُو مگر کہاں
Hai Justuju ke ḳhoob se hai ḳhub-tar kahan
Ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan
Hain daur e jam e avval e shab mein ḳhudi se duur
Hoti hai aaj dekhiye hum ko sahar kahan
Ya Rab is iḳhtilat ka anjam ho ba-ḳhair
Tha us ko hum se rabt magar is qadar kahan
Ek umer chaiye ke gavara ho nish-e-ishq
Rakhi hai aaj lazzat-e-zaḳham-e-jigar kahan
Bus ho chuka bayan kasal-o-ranj-e-rah ka
Khat ka mire jawab hai ai nama-bar kahan
Kaun o makan se hai dil-e-vahshi kinara-gir
Is ḳhanuman-ḳharab ne Dhunda hai ghar kahan
Hum jis pe mar rahe hain woh hai baat hee kuch aur
Aalam mein tujh se laakh sahee tu magar kahan
Hoti nahi qabool dua tark-e-ishq ki
Dil chahta na ho to zuban mein asar kahan
Hali nashat-e-naġhma-o-mai Dhundhte ho ab
Aaye ho waqt-e-subh rahe raat bhar kahan