zuban
Main Bhi Munh Mai Zuban Rakhta Hun
Main Bhi Munh Mai Zuban Rakhta Hun
Kaash Puchho k Muddaa Kya Hai
میں بھی منہ میں زبان رکھتا ہوں
کاش پوچھو کہ مدعا کیا ہے
मैं भी मुँह में ज़बान रखता हूँ
काश पूछो कि मुद्दआ क्या है
Kehte Hain Har Baat Zubaan Se Hum
Kehte Hain Har Baat Zuban Se Hum Ishara Nahi Karte,
Aasman Par Chalne Wale Zameen Se Guzara Nahi Karte,
Har Halat Ko Badlne Ki Himmat Hai Hum Mein,
Waqt Ka Har Faisla Hum Ganwara Nahi Karte.
कहते है हर बात जुबां से हम इशारा नहीं करते,
आसमान पर चलने वाले जमीं से गुज़ारा नहीं करते,
हर हालात को बदलने की हिम्मत है हम में,
वक़्त का हर फैसला हम गंवारा नहीं करते।
کہتے ہیں ہر بات زبان سے ہم اشارہ نہیں کرتے
آسمان پر چلنے والے زمین سے گزارا نہیں کرتے
ہر حالات کو بدلنے کی ہمت ہے ہم ہیں
وقت کا ہر فیصلہ ہم گنوارا نہیں کرتے
Hum Jis Pe Mar Rahe Hain Woh Hai Baat
ہم جس پہ مر رہے ہیں وہ ہے بات ہی کچھ اور
عالم میں تجھ سے لاکھ سہی تُو مگر کہاں
Hai Justuju ke ḳhoob se hai ḳhub-tar kahan
Ab Thaharti hai dekhiye ja kar nazar kahan
Hain daur e jam e avval e shab mein ḳhudi se duur
Hoti hai aaj dekhiye hum ko sahar kahan
Ya Rab is iḳhtilat ka anjam ho ba-ḳhair
Tha us ko hum se rabt magar is qadar kahan
Ek umer chaiye ke gavara ho nish-e-ishq
Rakhi hai aaj lazzat-e-zaḳham-e-jigar kahan
Bus ho chuka bayan kasal-o-ranj-e-rah ka
Khat ka mire jawab hai ai nama-bar kahan
Kaun o makan se hai dil-e-vahshi kinara-gir
Is ḳhanuman-ḳharab ne Dhunda hai ghar kahan
Hum jis pe mar rahe hain woh hai baat hee kuch aur
Aalam mein tujh se laakh sahee tu magar kahan
Hoti nahi qabool dua tark-e-ishq ki
Dil chahta na ho to zuban mein asar kahan
Hali nashat-e-naġhma-o-mai Dhundhte ho ab
Aaye ho waqt-e-subh rahe raat bhar kahan