raat
Na luta Din Ko To Kab Raat Ko Yun
Na luta Din Ko To Kab Raat Ko Yun Be-Khabar Sota
Raha Khatka Na Chori Ka Dua Deta Hun Rahzan Ko
نہ لٹتا دن کو تو کب رات کو یوں بے خبر سوتا
رہا کھٹکا نہ چوری کا دعا دیتا ہوں رہزن کو
न लुटता दिन को तो कब रात को यूँ बे-ख़बर सोता!
रहा खटका न चोरी का दुआ देता हूँ रहज़न को
Maut Ka Ek Din Mauyyan Hai
Maut Ka Ek Din Mauyyan Hai
Neend Kyun Raat Bhar Nahi Aati
موت کا ایک دن معین ہے
نیند کیوں رات بھر نہیں آتی
मौत का एक दिन मुअय्यन है
नींद क्यूँ रात भर नहीं आती
Mai Se Gharaz Nashat Hai Kis Ru-Siyah
Mai Se Gharaz Nashat Hai Kis Ru-Siyah Ko
Ik-Guna Be-Khudi Muje Din Raat Chahiye
مے سے غرض نشاط ہے کس رو سیاہ کو
اک گونہ بے خودی مجھے دن رات چاہیے
मय से ग़रज़ नशात है किस रू-सियाह को
इक-गूना बे-ख़ुदी मुझे दिन रात चाहिए
Jee Dhundta Hai Phir Wohi Fursat Ki Raat
Jee Dhundta Hai Phir Wohi Fursat Ki Raat Din
Baithe Rahen Tasawar-e-Janan Kiye Hue
جی ڈھونڈتا ہے پھر وہی فرصت کہ رات دن
بیٹھے رہیں تصور جاناں کیے ہوئے
जी ढूँडता है फिर वही फ़ुर्सत कि रात दिन
बैठे रहें तसव्वुर-ए-जानाँ किए हुए
Hum Sune Aur Sunaye Jaate Thay, Raat
Dil Guman Tha Gumaniyan thay hum
haan miyan dastaniyan thay hum
ham sune aur sunaye jaate thay
raat bhar ki kahaniyan thay hum
jaane ham kis ki bo-ud ka thay saboot
jaane kis ki nishaniyan thay hum
chhorte kyun na hum zameen apnī
aḳhirash asmaniyan thay hum
zarra bhar bhī na thi numud apni
aur phir bhī jahaniyan thay hum
hum na thay ek aan ke bhi magar
javedan javidaniyan thay hum
rose ik ran tha tir-o-tarkash bin
the kamin aur kamaniyan thay hum
arġhavani tha vo piyala-e-naf
hum jo thay urġhavaniyan thay hum
nar-e-pistan thī vo qattala
aur havas-darmiyaniyan thay hum