lips
Humein Samjho Na Khush Itna Labon Ki Muskurahat Se
Humein Samjho Na Khush Itna Labon Ki Muskurahat Se,
Hamari Aankh Mein Pehle Hazaron Hadse Dekho
Kaajal, Aankhen, Zulfein, Jhumke, Chehra, Hont
Kaajal, Aankhen, Zulfein, Jhumke, Chehra, Hont,
Haye, Sab Haar Gaye, Aaj Tujhe Be Naqaab Dekh Kar
Shayari Unke Labon Pe Sajti Hai, Jinki
Shayari Unke Labon Pe Sajti Hai,
Jinki Aankhon Mein Ishq Rota Hai
Mohabbat Jab Sukoon e Zindagi Barbaad Karti Hai
Mohabbat Jab Sukoon e Zindagi Barbaad Karti Hai,
Toh Lab Khamosh Rehte Hain Nazar Fariyad Karti Hai
Ek Masoom Si Dua Hai In Labon Pe
Ek Masoom Si Dua Hai In Labon Pe,
Koi Kuch Bhi Kare Mohabbat Ke Siwa
Usne Kaha Tha Ishq Dhong Hai Main Ne Kaha
Usne Kaha Tha Ishq Dhong Hai
Main Ne Kaha
Tujhe Ishq Ho Khuda Kare
Koi Tujh Ko Ussey Juda Kare
Tere Hont Hansna Bhool Jayein
Teri Ankhen Pur-num Raha Karein
Tu Uski Baatein Suna Kare
Tu Uski Baatein Kia Kare
Tujhe Ishq Ki Wo Jharri Lage
Tu Millan Ki Har Pal Dua Kare
Tu Nagar Nagar Sada Kare
Tu Gali Gali Phira Kare
Tujhe Ishq Ho Phir Yaqeen Ho
Ussey Tasbeeh Pe Parha Kare
Phir Main Kahun Ishq Dhong Hai
Tu Nahi Nahi Kia Kar
Tum Ne Dekha Hai Kabhi Aankh Mein Behta Hua Khawab
Tum Ne Dekha Hai Kabhi Aankh Mein Behta Hua Khawab,
Tum Ne Samjhey Hain Kabhi Hont Pe Sahme Huye Lafz
تم نے دیکھا ہے کبھی آنکھ میں بہتا ہوا خواب
تم نے سمجھے ہیں کبھی ہونٹ پہ سہمے ہوئے لفظ
Mulaim Hath, Kham e Zulf, Ada e Nain Aur Yaqoot Hont
/Aankhen Shayari/Heart Touching Shayari/Husn Shayari/Romantic Urdu Poetry/Two Line Shayari/Urdu Poetry Images/
Mulaim Hath, Kham e Zulf, Ada e Nain Aur Yaqoot Hont,
Wallah Katal Baaqi Hai Auzaar Toh Sab Hee Pooray Hain
ملائم ہاتھ ، خمِ زُلف ، ادائے نین اور یاقوت ہونٹ
واللہ قتل باقی ہے اوزار تو سب ہی پورے ہیں
(Khum e Zulf = Curly hair ; Yaqoot = Garnet),(Auzaar = Tools)