Ye Bhi Ik Dhoka Tha Nairang-e-Tilism-e-Aql Ka

/Hafeez Jalandhari Shayari/Sad Urdu Poetry/Two Line Shayari/

Ye Bhi Ik Dhoka Tha Nairang-e-Tilism-e-Aql Ka

Apni Hastī Par Bhi Hasti Ka Hua Dhoka Mujhe

یہ بھی اک دھوکا تھا نیرنگ طلسم عقل کا

اپنی ہستی پر بھی ہستی کا ہوا دھوکا مجھے

ये भी इक धोका था नैरंग-ए-तिलिस्म-ए-अक़्ल का

अपनी हस्ती पर भी हस्ती का हुआ धोका मुझे

Main wo Basti Hun ki Yaad-e-Raftagan Ke Bhes Mein

/Dard Shayari/Hafeez Jalandhari Shayari/Sad Urdu Poetry/Two Line Shayari/

Main wo Basti Hun ki Yaad-e-Raftagan Ke Bhes Mein

Dekhne Aati Hai Ab Meri Hi Veerani Mujhe

میں وہ بستی ہوں کہ یاد رفتگاں کے بھیس میں

دیکھنے آتی ہے اب میری ہی ویرانی مجھے

मैं वो बस्ती हूँ कि याद-ए-रफ़्तगाँ के भेस में

देखने आती है अब मेरी ही वीरानी मुझे

Dasht-e-Hasti Mai Shab-e-Gham Ki

/Dard Shayari/Ghamgeen Poetry/Mohsin Naqvi Poetry/

Dasht-e-Hasti Mai Shab-e-Gham Ki Sahar Karne Ko
Hijr Walon Ne Liya Rakht-e-Safar Sannata

دشت ہستی میں شب غم کی سحر کرنے کو

ہجر والوں نے لیا رخت سفر سناٹا

दश्त-ए-हस्ती में शब-ए-ग़म की सहर करने को

हिज्र वालों ने लिया रख़्त-ए-सफ़र सन्नाटा

Hasti Ke Mat Fareb Mai Aa Jaiyo ‘Asad’

/Mirza Ghalib Shayari/

Hasti Ke Mat Fareb Mai Aa Jaiyo ‘Asad’
Aalam Tamam Halqa-e-Dam-e-Khayal Hai

ہستی کے مت فریب میں آ جائیو اسدؔ

عالم تمام حلقۂ دام خیال ہے

हस्ती के मत फ़रेब में जाइयो ‘असद’

आलम तमाम हल्क़ा-ए-दाम-ए-ख़याल है

  • By: