Dhoop Mein Saaya e Deewar Zaroori Toh Nahi

/Ghazal/Nafrat Shayari/Pyar Shayari/

Dhoop Mein Saaya e Dewaar Zaroori Toh Nahi,

Ab Tere Baad Koi Pyar Zaroori Toh Nahi

Hum Tere Ek Ishaaray Pe Kata Dein Ser,

Ho Tere Hath Mein Talwaar Zaroori Toh Nahi

Mere Elaan e Baghawat Se Salaamat Reh Jaye,

Teri Baadshaahi Tera Darbaar Zaroori Toh Nahi

Nafratein Phaink Ke Aa Phir Se Galay Lag Jaaein,

Aisa Moqa Mile Har Baar Zaroori Toh Nahi

Jeet Lungi Tujhe Duniya Se Mera Vaada Hai,

Har Baar Ho Meri Haar Zaroori Toh Nahi

  • By:

Uski Aankhon Mein Mohabbat Ka Sitara Hoga

/Aankhen Shayari/Dard Shayari/Dil Shayari/Famous Urdu Poetry/Ghazal/Ishq Poetry/Urdu Shayari Mohabbat/Wasi Shah Poetry/

Uski Aankhon Mein Mohabbat Ka Sitara Hoga

Ek Din Aaye Ga Wo Shakhs Hamara Hoga,

Tum Jahan Mere Liye Sipiyan Chunti Hogi

Wo Kisi Aur Hee Duniya Ka Kinara Hoga,

Zindagi..! Ab K Mera Naam Na Shamil Karna

Gar Yeh Tay Hai Ke Yehi Khel Dobara Hoga,

Jiske Hone Se Meri Saans Chala Karti Thi

Kis Tarha Uske Begair Guzara Hoga,

Yeh Achanak Jo Ujaala Sa Hua Jata Hai

Dil Ne Chupke Se Tera Naam Pukaara Hoga,

Ishq Karna Hai Toh Din Raat Ussey Sochna Hai

Aur Kuch Zehen Mein Aaya To Khasara Hoga,

Yeh Jo Pani Mein Chala Aaya Sunehri Sa Gharoor

Usne Dariya Mein Kahin Paun Utara Hoga,

Kon Rota Hai Yahan Raat Ke Sanaton Mein

Mere Jaisa Hee Koi Hijr Ka Maara Hoga,

Mujh Ko Maloom Hai Junhi Main Qadam Rakhun ga

Zindagi Tera Koi Aur Kinara Hoga,

Jo Meri Rooh Mein Baadal Se Garajte Hain WASI

Usne Seene Mein Koi Dard Utara Ho Ga,

Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hee Lunga Usko

Mere Mola Ka WASI Junhi Ishara Hoga

  • By: