Hijr Ka Taara Doob Chala Hai Dhalne

/Aankhen Shayari/Aansu Shayari/Barish Poetry/Dard Shayari/Wasi Shah Poetry/

Hijr Ka Taara Doob Chala Hai Dhalne Lagi Hai Raat Wasi
Katra Katra Baras Rahi Hai Ashkon Ki Barsaat Wasi

حجر کا تارا ڈوب چالا ہے ڈھلنے لگی ہے رات وصی
قطرہ قطرہ برس رہی ہے اشکوں کی برسات وصی

Na Tha Kuch To Khuda Tha Kuch Na

/Mirza Ghalib Shayari/

Na Tha Kuch To Khuda Tha Kuch Na Hota To Khuda Hota
Duboye Mujh Ko Hone Ne Na Hota Mai To Kya Hota

نہ تھا کچھ تو خدا تھا کچھ نہ ہوتا تو خدا ہوتا

ڈبویا مجھ کو ہونے نے نہ ہوتا میں تو کیا ہوتا

था कुछ तो ख़ुदा था कुछ होता तो ख़ुदा होता

डुबोया मुझ को होने ने होता मैं तो क्या होता

  • By:

Main Ne Junoon Se Ki Jo ‘Asad’ Iltimas

/Mirza Ghalib Shayari/

Main Ne Junoon Se Ki Jo ‘Asad’ Iltimas-e-Rang
Khoon-e-Jigar Mai Ek Hi Ghota Diya Mujhe

میں نے جنوں سے کی جو اسدؔ التماس رنگ

خون جگر میں ایک ہی غوطہ دیا مجھے

मैं ने जुनूँ से की जो ‘असद’ इल्तिमास-ए-रंग

ख़ून-ए-जिगर में एक ही ग़ोता दिया मुझे

  • By:

Yeh Ishq Nahi Aasan Poetry – Yeh Ishq Nahi Aasan Shayari

/Aankhen Shayari/Ghazal/Ishq Poetry/Urdu Shayari Mohabbat/

Yeh Ishq Nahi Aasan Poetry

Yeh Kiska Tasawar Hai, Yeh Kiska Fasana Hai,

Jo Ashk Hai Aankhon Mein Tasbih Ka Dana Hai

Aankhon Mein Nami Si Hai Chup Chup Se Woh Baithe Hain,

Nazuk Si Nigaahon Mein Naazuk Sa Fasana hai

Yeh Ishq Nahi Aasaan Itna Toh Samajh Lijiye,

Ek Aag Ka Dariya Hai Aur Doob Ke Jana Hai

Yaa Woh Thay Khafa Hum Se Ya Hum Thay Khafa Unse,

Kal Unka Zamana Tha Aaj Apna Zamana Hai

 

Yeh Ishq Nahi Aasan Shayari

 

Masoom Mohabbat Ka Bus Itna Fasana Hai
Kaghaz Ki Haveli Hai Barish Ka Zamana Hai

Kya Shart e Mohabbat Hai Kya Shart e Zamana Hai
Awaaz Bhi Zakhmi Hai Aur Geet Bhi Gaana Hai

Us Per Utarnay Ki Umeed Bohat Kam Hai
Kashti Bhi Puraani Hai Aur Toofan Ko Bhi Aana Hai

Samjhay Ya Na Samjhay Wo Andaaz Mohabbat Ka
Aik Shakhs Ko Aankho Se Aik Shair Sunana Hai

Yeh Ishq Nahi Aasan Bus Itna Samajh Lijiye
Aik Aag Ka Dariya Hai Aur Doob Kar Jana Hai

  • By:

Insha Ji Utho Ab Kuch Karo Poetry and Lyrics

/Dil Shayari/Ghazal/

Insha ji! Utho! ab kooch karo, is sheher mein ji ka lagana kya.
Wehshi ko sukoon se kya matlab, jogi ka nagar mein Thikana kya.

Is dil ke dareeda daman ko dekho to sahi, socho to sahi;
Jis jholi mein sau chhed huye us jholi ko phailana kya.

Shab beeti, chand bhi Doob gaya, zanjeer paRi darvaze mein;
Kyon der gaye ghar aaye ho, sajni se karoge bahana kya.

Us husn ke sache moti ko ham dekh sakein, par chhu na sakein;
Jise dekh sakein par chhu na sakein vo daulat kya vo Khazana kya.

Us ko bhi jala dukhte huhe man, ek shola laal bhabhooka ban;
Yoon aansu ban beh jana kya, yoon maTi mein mil jana kya.

Jab shehar ke log na rasta dain, kyon ban mein na ja bisram kare;
Deewano ki si na baat kare, to aur kare deewana kya.

  • By: