deewana
Dard e Dil Ke Siwa Mohabbat Kuch Bhi Nahi
Dard e Dil Ke Siwa Mohabbat Kuch Bhi Nahi
Tere Chehre Ke Siwa Mohabbat Kuch Bhi Nah,
Tujhe Chaha Toh Tut Ke Chaha Per Tere Liye
Deewanagi, Chahat, Wafa, Mohabbat Kuch Bhi Nahi,
Kisi Ko Chaho Toh Be Sabab Chaho, Chahne Walo
Sila Jo Maango Ge Toh Mohabbat Kuch Bhi Nahi
Is Behte Dard Ko Main Rokun Yeh Toh
Is Behte Dard Ko Main Rokun
Yeh Toh Saza Hai Kisi Ke Intezar Ki,
Log Inhe Aansu Kahein Ya Deewanagi
Per Yeh Toh Nishani Hai Kisi Ke Pyar Ki
Itna Sangeen Nahi Jurm e Ishq Magar
Itna Sangeen Nahi Jurm e Ishq Magar
Sazayein Ishq Itni Sangeen Kyun Hai,
Mujhko Deewanagi Ka Na Ilzam Doh
Pooch Mere Yaar Se Itna Haseen Kyun Hai
Ussey Kaho Us Pe Marta Hai, Ussey Kaho
Ussey Kaho Koi Us Pe Marta Hai
Ussey Kaho Koi Ussey Chahta Hai
Ussey Kaho Kisi Ki Zindagi Hai Woh
Ussey Kaho Koi Uski Yaad Mein Jhaagta Hai
Ussey Kaho Koi Dekh Ke Ussey Jeeta Hai
Ussey Kaho Kisi Ki Justuju Hai Woh
Ussey Kaho Koi Ussey Sochta Hai
Ussey Kaho Koi Pyar Ke Uska Talib Hai
Ussey Kaho Kisi Ki Kainaat Hai Woh
Ussey Kaho Koi Dharkanoo Mein Ussey Sunta Hai
Ussey Kaho Koi Qurbaton Ka Uski Piyaasa Hai
Ussey Kaho Kisi Ka Ishq Hai Woh
Ussey Kaho Koi Us Ka Deewaana Hai
Ussey Kaho Koi Tasbeeh Naam Ki Uski Parhta Hai
Ussey Kaho Kisi Ka Pyar Hai Woh
Ussey Kaho Mera Armaan Hai Woh.
Hashar Hai Wehshat e Dil Ki Awaargi
Hashar Hai Wehshat e Dil Ki Awaargi,
Hum Se Poocho Mohabbat Ki Deewangi
Insha Ji Utho Ab Kuch Karo Poetry and Lyrics
Insha ji! Utho! ab kooch karo, is sheher mein ji ka lagana kya.
Wehshi ko sukoon se kya matlab, jogi ka nagar mein Thikana kya.
Is dil ke dareeda daman ko dekho to sahi, socho to sahi;
Jis jholi mein sau chhed huye us jholi ko phailana kya.
Shab beeti, chand bhi Doob gaya, zanjeer paRi darvaze mein;
Kyon der gaye ghar aaye ho, sajni se karoge bahana kya.
Us husn ke sache moti ko ham dekh sakein, par chhu na sakein;
Jise dekh sakein par chhu na sakein vo daulat kya vo Khazana kya.
Us ko bhi jala dukhte huhe man, ek shola laal bhabhooka ban;
Yoon aansu ban beh jana kya, yoon maTi mein mil jana kya.
Jab shehar ke log na rasta dain, kyon ban mein na ja bisram kare;
Deewano ki si na baat kare, to aur kare deewana kya.