chand
Pee Jis Qadar Mile Shab-e-Mahtab Mai
Pee Jis Qadar Mile Shab-e-Mahtab Mai Sharab
Is Balghami-mizaj Ko Garmi Hi Raas Hai
پی جس قدر ملے شب مہتاب میں شراب
اس بلغمی مزاج کو گرمی ہی راس ہے
पी जिस क़दर मिले शब-ए-महताब में शराब
इस बलग़मी-मिज़ाज को गर्मी ही रास है
Aasmaan Viraan Hai, Taare Bhi Hairaan Hain
Aasmaan Viraan Hai,
Taare Bhi Hairaan Hain,
Maafh Ker De Meri Chandni,
Dekh Tera Chand Kitna Pareshan Hai.
आसमान वीरान है,
तारे भी हैरान हैं,
माफ़ कर दे मेरी चाँदनी,
देख तेरा चाँद कितना परेशान है।
آسمان ویران ہے
تارے بھی حیران ہیں
معاف کردے میری چاندنی
دیکھ تیرا چاند کتنا پریشان ہے
Chand Ke Husn Per Har Shaks Ka Haq Hai
Chand Ke Husn Pe Har Shaks Ka Haq Hai Mansoor,
Main Ussey Kaise Kahun Raat Ko Nikla Na Kare
چاند کے حسن پہ ہر شخص کا حق ہے منصور
میں اسے کیسے کہوں رات کو نکلا نہ کرے
منصور آفاق
Dekha Eid Ka Chand Toh Maangi Yeh Dua
Dekha Eid Ka Chand Toh Maangi Yeh Dua Rab Se,
De De Tera Sath Eid Ka Tohfa Samajh Ke
Mat Kiya Kijiye Din Ke Ujalon Ki Khwahishein
Mat Kiya Kijiye Din Ke Ujalon Ki Khwahishein,
Yeh Aashiqon Ki Bastiyan Hain Yahan Chand Se Dn Nikalta Hai
Main Muntazir Hun, Teri Deed Ka Tu
Main Muntazir Hun, Teri Deed Ka
Tu Nazar Aaye Chand Ban Ke Eid Ka
Bhuja Bhuja, Zard Zard, Madham Madham Chand
Bhuja Bhuja, Zard Zard, Madham Madham Chand,
Shayad Nisbat Issey Bhi December Se Hai
Insha Ji Utho Ab Kuch Karo Poetry and Lyrics
Insha ji! Utho! ab kooch karo, is sheher mein ji ka lagana kya.
Wehshi ko sukoon se kya matlab, jogi ka nagar mein Thikana kya.
Is dil ke dareeda daman ko dekho to sahi, socho to sahi;
Jis jholi mein sau chhed huye us jholi ko phailana kya.
Shab beeti, chand bhi Doob gaya, zanjeer paRi darvaze mein;
Kyon der gaye ghar aaye ho, sajni se karoge bahana kya.
Us husn ke sache moti ko ham dekh sakein, par chhu na sakein;
Jise dekh sakein par chhu na sakein vo daulat kya vo Khazana kya.
Us ko bhi jala dukhte huhe man, ek shola laal bhabhooka ban;
Yoon aansu ban beh jana kya, yoon maTi mein mil jana kya.
Jab shehar ke log na rasta dain, kyon ban mein na ja bisram kare;
Deewano ki si na baat kare, to aur kare deewana kya.