Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hai

/Aankhen Shayari/Aansu Shayari/Dard Shayari/Wasi Shah Poetry/

Hazaron Mausamon Ki Hukmarani Hai Mere Dil Par
“Wasi” Mai Jab Bhi Hansta Hun To Ankhen Bheeg Jaati hain

ہزاروں موسموں کی حکمرانی ہے مرے دل پر

وصیؔ میں جب بھی ہنستا ہوں تو آنکھیں بھیگ جاتی ہیں

हज़ारों मौसमों की हुक्मरानी है मिरे दिल पर

‘वसी’ मैं जब भी हँसता हूँ तो आँखें भीग जाती हैं

Har Ek Muflis K Mathe Par Alam Ki

/Aankhen Shayari/Aansu Shayari/Dard Shayari/Wasi Shah Poetry/

Har Ek Muflis K Mathe Par Alam Ki Dastaanain Hain
Koi Chehra Bhi Parhta Hun To Ankhen Bheeg Jaati Hain

ہر اک مفلس کے ماتھے پر الم کی داستانیں ہیں

کوئی چہرہ بھی پڑھتا ہوں تو آنکھیں بھیگ جاتی ہیں

हर इक मुफ़्लिस के माथे पर अलम की दास्तानें हैं

कोई चेहरा भी पढ़ता हूँ तो आँखें भीग जाती हैं

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chin Gai

/Aansu Shayari/Dard Shayari/Tanha Shayari/Wasi Shah Poetry/

Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chin Gai Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hun To Ankhen Bheeg Jaati Hain

تمہارا نام لکھنے کی اجازت چھن گئی جب سے

کوئی بھی لفظ لکھتا ہوں تو آنکھیں بھیگ جاتی ہیں

तुम्हारा नाम लिखने की इजाज़त छिन गई जब से

कोई भी लफ़्ज़ लिखता हूँ तो आँखें भीग जाती हैं