Romantic Urdu Poetry
Kyun Chupate Ho Sani Kyun Inkaar Karte Ho
Kyun Chupate Ho Sani Kyun Inkaar Karte Ho,
Tumhari Aankhen Kehti Hain Tum Bhi Pyar Karte Ho
Khud Ko Bawazu Kiya Tere Tasawar Se Bhi Pehle
Khud Ko Bawazu Kiya Tere Tasawar Se Bhi Pehle,
Maine Iss Darje Tere Ishq Ko Pakeeza Rakha
خود کو باوضو کیا تیرے تصور سے بھی پہلے
میں نے اس درجہ تیرے عشق کو پاکیزہ رکھا
Tujh Mein Khoyi Rahun Main, Mujh Mein
Tujh Mein Khoyi Rahun Main, Mujh Mein Khoya Rahe Tu,
Khud Ko Dhund Leinge Phir Kabhi
تجھ میں کھوئی رہوں میں مجھ میں کھویا رہے تو
خود کو ڈھونڈ لیں گے پھر کبھی
Tu Mujhe Ishq Ke Asool Na Samjha
Tu Mujhe Ishq Ke Asool Na Samjha,
Mumkin Hai Ke Mujhsa Deewana Tumhe Kahin Na Mile
تو مجهے عشق کے اصول نا سمجها
ممکن ہے کہ مجھ سا دیوانہ تمہیں کہیں نہ ملے
Kya Khabar Ek Nazar Hee Par Jaye, Hum Tumhare
Kya Khabar Ek Nazar Hee Par Jaye,
Hum Tumhare Liye Hee Sanwarte Hain
کيا خبر اِک نَظر ہی پڑ جائے
ہم تمہارے ليئے ہی سنورتے ہيں
Jab Tere Nain Muskurate Hain, Zeest Ke Ranj
Jab Tere Nain Muskurate Hain,
Zeest Ke Ranj Bhool Jaate Hain
جب تیرے نین مُسکراتیں ہیں
زیست کے رنج بھول جاتے ہیں
Teri Aankhon Ki Kasam Zindagi Samjha Hai Tujhe
/Aankhen Shayari/Romantic Urdu Poetry/Two Line Shayari/Urdu Love Poetry/Urdu Poetry Images/Zindagi Shayari/
Teri Aankhon Ki Kasam Zindagi Samjha Hai Tujhe,
Tujh Ko Kuch Soch Ke Saanson Mein Sharakat Dee Hai
تیری آنکھوں کی قسم زندگی سمجھا ہے تجھے
تجھ کو کچھ سوچ کہ سانسوں میں شراکت دی ہے
Masoomiyat Ka Kuch Aesa Andaaz Tha Mere Sanam Ka
Masoomiyat Ka Kuch Aesa Andaaz Tha Mere Sanam Ka,
Ussey Tasveer Mein Bhi Dekhun Toh Palkein Jhuka Leti Hai
معصومیت کا کچھ ایسا انداز تھا میرے صنم کا
اُسے تصویر میں بھی دیکھوں تو پلکیں جُھکا لیتی ہے
Mulaim Hath, Kham e Zulf, Ada e Nain Aur Yaqoot Hont
/Aankhen Shayari/Heart Touching Shayari/Husn Shayari/Romantic Urdu Poetry/Two Line Shayari/Urdu Poetry Images/
Mulaim Hath, Kham e Zulf, Ada e Nain Aur Yaqoot Hont,
Wallah Katal Baaqi Hai Auzaar Toh Sab Hee Pooray Hain
ملائم ہاتھ ، خمِ زُلف ، ادائے نین اور یاقوت ہونٹ
واللہ قتل باقی ہے اوزار تو سب ہی پورے ہیں
(Khum e Zulf = Curly hair ; Yaqoot = Garnet),(Auzaar = Tools)