Usne Kaha Tha Ishq Dhong Hai Main Ne Kaha

/Aankhen Shayari/Dua Shayari/Ghazal/Ishq Poetry/

Usne Kaha Tha Ishq Dhong Hai
Main Ne Kaha
Tujhe Ishq Ho Khuda Kare
Koi Tujh Ko Ussey Juda Kare
Tere Hont Hansna Bhool Jayein
Teri Ankhen Pur-num Raha Karein
Tu Uski Baatein Suna Kare
Tu Uski Baatein Kia Kare
Tujhe Ishq Ki Wo Jharri Lage
Tu Millan Ki Har Pal Dua Kare
Tu Nagar Nagar Sada Kare
Tu Gali Gali Phira Kare
Tujhe Ishq Ho Phir Yaqeen Ho
Ussey Tasbeeh Pe Parha Kare
Phir Main Kahun Ishq Dhong Hai
Tu Nahi Nahi Kia Kar

  • By:

Jab Sunta Hee Nahi Woh Hum Baat Kya Karein

/Ghazal/Ishq Poetry/Sad Urdu Poetry/Urdu Poetry Images/Wafa Shayari/Yaad Poetry/

Jab Sunta Hee Nahi Woh Hum Baat Kya Karein
Bewajah Yahan Ussey Sawalat Kya Karein
Ussay Gila Hai Hum Ussay Yaad Nahi Karte
Bholty Hee Nahi Jo Unhe Yaad Kya karein
Jab Saans Ka Aana Hee Dushwaar Ho Gaya
Saqi Aese Mein Hum Ah o Pukar Kya Karein
Nazuk Dil Tha Apna Anjam-e-ishq Mein Toot Gaya
Kaise Howa Ye Hadsa Sar e Aam Iqrar Kya Karein
Sab Kuch Toh Lut Gaya Apna Ishq Wafa Mein
Ab Tumhe Batao Gaye Maal Ka Hisaab Kya Karein
Hum Ne Toh Tarap Mein Kaha Marr Gaye Touseef
Woh Yeh Keh Kar Palat Gaye Ab Mulaqat Kya Karen

  • By:

Yeh Subah Kitni Tanha Hai Tere Begair

/Ghazal/Tanha Shayari/Urdu Love Poetry/Urdu Poetry Images/Yaad Poetry/

Yeh Subha Kitni Tanha Hai Tere Begair
Yeh Din Kaise Guzrega Tere Begair
Raat Toh Tere Khawabo Mein Nikli
Sham Rahegi Sooni Sooni Tere Begair
Dekho Yeh Suraj Bhi Hai Kitna Madham
Hawa Bhi Rookhi Rookhi Hai Tere Begair
Yeh Panchi Yeh Sargam Sab Chup Se Hain Tere Begair
Dua Hai Meri Ki Har Dua Qabool Ho Teri
Meri Koi Khwahish Hee Nahi Tere Begair

  • By:

Insha Ji Utho Ab Kuch Karo Poetry and Lyrics

/Dil Shayari/Ghazal/

Insha ji! Utho! ab kooch karo, is sheher mein ji ka lagana kya.
Wehshi ko sukoon se kya matlab, jogi ka nagar mein Thikana kya.

Is dil ke dareeda daman ko dekho to sahi, socho to sahi;
Jis jholi mein sau chhed huye us jholi ko phailana kya.

Shab beeti, chand bhi Doob gaya, zanjeer paRi darvaze mein;
Kyon der gaye ghar aaye ho, sajni se karoge bahana kya.

Us husn ke sache moti ko ham dekh sakein, par chhu na sakein;
Jise dekh sakein par chhu na sakein vo daulat kya vo Khazana kya.

Us ko bhi jala dukhte huhe man, ek shola laal bhabhooka ban;
Yoon aansu ban beh jana kya, yoon maTi mein mil jana kya.

Jab shehar ke log na rasta dain, kyon ban mein na ja bisram kare;
Deewano ki si na baat kare, to aur kare deewana kya.

  • By: