
Khud Mein Toh Sanjeeda Hun Per
Duniya Ke Liye Mazaq Hun Main
har koi mujhe parh leta hai
jab ke gehra raaz hun main
mujhe toh main bhi bhool chuka
kisi ko kaise yaad hun main
wese toh mast malang hun per
phir bhi bahut udaas hun main
bahut fikar hai teri mujhe
baaqi fikaron se azaad hun main
خود میں تو سنجیدہ ہوں پر
دُنیا کے لیئے مزاق ہوں میں
ہر کوئی مجھے پڑھ لیتا
جب کے گہرا راز ہوں میں
مجھے تو میں بھی بُھول چُکا
کسی کو کیسے یاد ہوں میں
ویسے تو مست ملنگ ہوں پر
پھر بھی بہت اُداس ہوں میں
بہت فِکر ہے تیری مجھے
باقی فِکروں سے آزاد ہوں میں