Yaqeen Aata Nahi Dil Ko Ke Aesa Ho Bhi Sakta Hai
Mera Hal e Gham Sun Kar Woh Zalim Ro Bhi Sakta Hai
Kabhi Insan Akela Ho Ke Bhi Tanha Nahi Hota
Sar e Mehfil Kabhi Bethe Bithaye Kho Bhi Sakta Hai
Ta’ajjub Kyun Hai Tum Ko Meri Be Gunahi Per
Karam Ka Aik Qatra Dagh e Daman Dho Bhi Sakta Hai
Kabhi Insan Ko Neend Aati Nahi Phoolon Ke Bistar Per
Kabhi Pathar Pe Sar Rakh Kar Maze Se Soh Bhi Sakta Hai
Woh Kehta Hai Tumhari Khatir Sitare Tor Launga
Ba Zahir Yun Nahi Hota Magar Yun Ho Bhi Sakta Hai