Pathar Tha, Magar Baraf Ke Gaalon Ki

/Ghazal/Sad Urdu Poetry/

Pathar Tha, Magar Baraf Ke Gaalon Ki Tarah Tha
Ek Shaks Andheron Mein Ujaalon Ki Tarah Tha

Khawabon Ki Tarah Tha, Na Khayalon Ki Tarah Tha
Woh Ilm e Riazi Ke Sawalon Ki Tarah Tha

Ulja Huya Aesa, Ke Kabhi Khul Nahi Paaya
Sulja Huya Aesa, Ke Misalon Ki Tarah Tha

Woh Mil Toh Gaya Lekin Apna Bhi Muqaddar
Shatranj Ki Ulji Huyi Chaalon Ki Tarah Tha

Wo Rooh Mein Khushbu Ki Tarah Ho Gaya Tahleel
Jo Dur Bohat Chand Ke Haalon Ki Tarah Tha

  • By:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *