Jab Se Tu Amil e Farmooda-E-Islaf Nahi

/Ghazal/Ishq Poetry/

Jab Se Tu Amil e Farmooda e Islaf Nahi

Naam Insaf Ka Baqi Hai Per Insaf Nahi

Zarb e Shamsheer, Baja! Nara e Takbeer Darust

Sab Hai! Bus Tujh Mein Mujahid Se Woh Ausaf Nahi

Kya Bahana Hai Mere Qalb Ko Thukrane Ka

Kirchiyan Dekh Ke Kehte Hain Ke Shafaaf Nahi

Ya Khuda! Umat e Ahmed Bhi Wohi Tu Bhi Wohi

Kya Sabab Hai Ke Woh Pehle Ke Se Altaf Nahi

Aah! Yeh Ishq Bhi Kasa Hai Tera Jis Mein ‘Shakeeb’
Ishq Ka Aieen Nahi Sheen Nahi Qaaf Nahi

  • By:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *