Wafa Shayari
Kahin Ishq Ki Dekhi Ibtida, Kahin Ishq Ki Dekhi
Kahin ISHQ Ki Dekhi Ibtida,
Kahin ISHQ Ki Dekhi Inteha,
Kahin ISHQ Sooli Pe Charh Gaya,
Kahin ISHQ Ka Nezy Pe Ser Gaya,
Kahin ISHQ Sajde Mein Gir Gaya,
Kahin ISHQ Sajde Se Phirr Gaya,
Kahin ISHQ Dars e Wafa Bana,
Khain ISHQ Husn e Ada Bana,
Kahin ISHQ Ne Sanp Se Daswa Dia,
Kahin ISHQ Ne Namaz Ko Qaza Kia,
Kahin ISHQ Saife Khuda Bana,
Kahin ISHQ Shere Khuda Bana,
Kahin ISHQ Toor Per Deedar hai,
Kahin ISHQ Zibah Ko Tayar hai,
Kahin ISHQ Ne Behka Dia,
Kahin ISHQ Ne Shah e Misr Bana Dia,
Kahin ISHQ Aankhon Ka Noor Hai,
Kahin ISHQ Koh e Toor Hai,
Kahin ISHQ ‘Tu Hee Tu’ Hua,
Kahin ISHQ ‘ALLAH HOO’ Hua.
Badal Jaate Hain Log Tanhaiyon Mein Akser
/Bewafa Poetry/Tanha Shayari/Two Line Shayari/Urdu Poetry Images/Urdu Shayari Mohabbat/Wafa Shayari/
Badal Jaate Hain Log Tanhaiyon Mein Akser,
Mohabbat Karke Bhi Kisi Se Jab Wafa Nahi Milti
Mohabbat Karke Dekha Toh Mohabbat Ki Pehchan Huyi
Mohabbat Karke Dekha Toh Mohabbat Ki Pehchan Huyi,
Wafa Bus Naam Ki, Bewafa Ka Afsaana Hai
Ussey Mein Kya Mohabbat Kya Wafa Ki Baat Karta
Ussey Mein Kya Mohabbat Kya Wafa Ki Baat Karta,
Pinjra Khola Toh Parinda Jo Urna Bhi Na Chahey
Jab Sunta Hee Nahi Woh Hum Baat Kya Karein
Jab Sunta Hee Nahi Woh Hum Baat Kya Karein
Bewajah Yahan Ussey Sawalat Kya Karein
Ussay Gila Hai Hum Ussay Yaad Nahi Karte
Bholty Hee Nahi Jo Unhe Yaad Kya karein
Jab Saans Ka Aana Hee Dushwaar Ho Gaya
Saqi Aese Mein Hum Ah o Pukar Kya Karein
Nazuk Dil Tha Apna Anjam-e-ishq Mein Toot Gaya
Kaise Howa Ye Hadsa Sar e Aam Iqrar Kya Karein
Sab Kuch Toh Lut Gaya Apna Ishq Wafa Mein
Ab Tumhe Batao Gaye Maal Ka Hisaab Kya Karein
Hum Ne Toh Tarap Mein Kaha Marr Gaye Touseef
Woh Yeh Keh Kar Palat Gaye Ab Mulaqat Kya Karen
Lena Parega Ishq Mein Tark e Wafa Se Kaam
Lena Parega Ishq Mein Tark e Wafa Se Kaam,
Parhez Iss Marz Mein Hai Behtar Ilaaj Se
Chahat, Fikar, Taqdeer, Ishq o Mohabbat Aur Wafa
/Chahat Shayari/Ishq Poetry/Sad Urdu Poetry/Two Line Shayari/Urdu Poetry Images/Urdu Shayari Mohabbat/Wafa Shayari/
Chahat, Fikar, Taqdeer, Ishq o Mohabbat Aur Wafa,
Meri Inhi Aadaton Ne, Mera Tamasha Bana Diya
Lafz Wafa Se Ab Woh Tasir Na Kar Qabool
/Bewafa Poetry/Ghamgeen Poetry/Sad Urdu Poetry/Two Line Shayari/Urdu Love Poetry/Urdu Poetry Images/Wafa Shayari/
Lafz Wafa Se Ab Woh Tasir Na Kar Qabool,
Is Aam Fehem Lafz Ke Maani Badal Gaye
Kis Kadar Hoga Yahan Mehr o Wafa Ka Matam
/Heart Touching Shayari/Sad Urdu Poetry/Two Line Shayari/Urdu Love Poetry/Urdu Poetry Images/Wafa Shayari/Yaad Poetry/