Us Ke Farogh-e-Husn Se Jhamke Hai Sab

/Mir Taqi Mir Poetry/

Us Ke Farogh-e-Husn Se Jhamke Hai Sab Mai Nuur
Sham-e-Haram Ho Ya Ho Diya Somnat Ka

اس کے فروغ حسن سے جھمکے ہے سب میں نور

شمع حرم ہو یا ہو دیا سومنات کا

उस के फ़रोग़-ए-हुस्न से झमके है सब में नूर

शम-ए-हरम हो या हो दिया सोमनात का

Hai Kainaat Ko Harakat Tere Zauq Se

/Mirza Ghalib Shayari/

Hai Kainaat Ko Harakat Tere Zauq Se
Partau Se Aftab Ke Zarre Mai Jaan Hai

ہے کائنات کو حرکت تیرے ذوق سے

پرتو سے آفتاب کے ذرے میں جان ہے

है काएनात को हरकत तेरे ज़ौक़ से

परतव से आफ़्ताब के ज़र्रे में जान है

  • By:

Ek Hangame Per Mauquf Hai Ghar Ki

/Mirza Ghalib Shayari/

Ek Hangame Per Mauquf Hai Ghar Ki Ronak
Noha-e-Gham Hi Sahi Nagma-e-Shadi Na Sahi

ایک ہنگامہ پہ موقوف ہے گھر کی رونق

نوحۂ غم ہی سہی نغمۂ شادی نہ سہی

एक हंगामे पे मौक़ूफ़ है घर की रौनक़

नौहा-ए-ग़म ही सही नग़्मा-ए-शादी सही

  • By:

Kar Nafsi Khwahishat Puri Abhi Mann Kaala Nahi Hai

/Inspirational Shayari/Sufi Shayari/Two Line Shayari/Urdu Poetry Images/

inspirational poetry

Kar Nafsi Khwahishat Puri Abhi Mann Kaala Nahi Hai,

Phir Andheron Mein Kar Gila Rab Kyun Ujala Nahi Hai

کر نفسی خواہیشات پوری ابھی من کالا نہیں ہے
پھر اندھیروں میں کر گلہ رب کیوں اُجالا نہیں ہے
عظیم حیدر

  • By:

Uski Aankhon Mein Mohabbat Ka Sitara Hoga

/Aankhen Shayari/Dard Shayari/Dil Shayari/Famous Urdu Poetry/Ghazal/Ishq Poetry/Urdu Shayari Mohabbat/Wasi Shah Poetry/

Uski Aankhon Mein Mohabbat Ka Sitara Hoga

Ek Din Aaye Ga Wo Shakhs Hamara Hoga,

Tum Jahan Mere Liye Sipiyan Chunti Hogi

Wo Kisi Aur Hee Duniya Ka Kinara Hoga,

Zindagi..! Ab K Mera Naam Na Shamil Karna

Gar Yeh Tay Hai Ke Yehi Khel Dobara Hoga,

Jiske Hone Se Meri Saans Chala Karti Thi

Kis Tarha Uske Begair Guzara Hoga,

Yeh Achanak Jo Ujaala Sa Hua Jata Hai

Dil Ne Chupke Se Tera Naam Pukaara Hoga,

Ishq Karna Hai Toh Din Raat Ussey Sochna Hai

Aur Kuch Zehen Mein Aaya To Khasara Hoga,

Yeh Jo Pani Mein Chala Aaya Sunehri Sa Gharoor

Usne Dariya Mein Kahin Paun Utara Hoga,

Kon Rota Hai Yahan Raat Ke Sanaton Mein

Mere Jaisa Hee Koi Hijr Ka Maara Hoga,

Mujh Ko Maloom Hai Junhi Main Qadam Rakhun ga

Zindagi Tera Koi Aur Kinara Hoga,

Jo Meri Rooh Mein Baadal Se Garajte Hain WASI

Usne Seene Mein Koi Dard Utara Ho Ga,

Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hee Lunga Usko

Mere Mola Ka WASI Junhi Ishara Hoga

  • By: