jhaad kar gard-e-gham-e-hasti ko uḌ jaunga main

/Abdul Hameed Adam/Two Line Shayari/

jhaad kar gard-e-gham-e-hasti ko uḌ jaunga main
be-khabar aisi bhi ik parvaz aati hai mujhe

جھاڑ کر گرد غم ہستی کو اڑ جاؤں گا میں

بے خبر ایسی بھی اک پرواز آتی ہے مجھے

झाड़ कर गर्द-ए-ग़म-ए-हस्ती को उड़ जाऊँगा मैं

बे-ख़बर ऐसी भी इक परवाज़ आती है मुझे

Ashiqon Ki Khastagi Bad-Hali Ki Parwah

/Mir Taqi Mir Poetry/

Ashiqon Ki Khastagi Bad-Hali Ki Parwah Nahi
Ai Sarapa Naaz Tu Ne Be-Niyazi Khub Ki

عاشقوں کی خستگی بد حالی کی پروا نہیں

اے سراپا ناز تو نے بے نیازی خوب کی

आशिक़ों की ख़स्तगी बद-हाली की पर्वा नहीं

सरापा नाज़ तू ने बे-नियाज़ी ख़ूब की

  • By:

Anjaam Ki Parwaah Hoti Toh, Hum

/Attitude Shayari/Urdu Poetry Images/Urdu Shayari Mohabbat/

attitudeshayari6

Anjam Ki Parwaah Hoti Toh,
Hum Mohabbat Karna Chhor Dete,
Mohabbat Mein Toh Zid Hoti Hai,
Aur Zid Ke Bare Pakke Hain Hum.

अंजाम की परवाह होती तो,
हम मोहब्बत करना छोड़ देते,
मोहब्बत में तो जिद्द होती है,
और जिद्द के बड़े पक्के हैं हम।

انجام کی پرواہ ہوتی تو
ہم محبت کرنا چھور دیتے
محبت میں تو ضد ہوتی ہے
اور ضد کہ بڑے پکے ہیں ہم

  • By:

Ek Tamanna Hai Faqt Mujh Pe Meherbaan Raho

/Chahat Shayari/Ghazal/

Ek Tamanna Hai Faqt Mujh Pe Meherban Raho

Tum Kisi Aur Ko Dekho Toh Bura Lagta Hai

Meri Chahat Ka Taqaza Hai Mere Sath Raho

Ghair Ka Hath Jo Thamo Toh Bura Lagta Hai

Arzoo Hai Tere Har Roop Ko Har Pal Dekhun

Tum Mere Paas Se Utho Toh Bura Lagta Hai

Roz o Shab Aaj Bhi Parwah Hai Tumhari Mujh Ko

Tum Kisi Aur Ko Socho Toh Bura Lagta Hai

Rooh Meri Tarasti Hai Tumhari Khushbu Ko

Tum Kahin Aur Ja Ke Meheko Toh Bura Lagta Hai

  • By: