Jugnu Ko Din Ke Waqt Parakhne Ki Zid

/Parveen Shakir Poetry/Two Line Shayari/

Jugnu Ko Din Ke Waqt Parakhne Ki Zid Karen
Bache Humare Ahd Ke Chalak Ho Gaye

جگنو کو دن کے وقت پرکھنے کی ضد کریں

بچے ہمارے عہد کے چالاک ہو گئے

जुगनू को दिन के वक़्त परखने की ज़िद करें

बच्चे हमारे अहद के चालाक हो गए

Hui Muddat K ‘Ghalib’ Mar Gaya Par Yaad

/Mirza Ghalib Shayari/

Hui Muddat K ‘Ghalib’ Mar Gaya Par Yaad Aata Hai
Wo Har Ik Baat Par Kahna k Yun Hota Tou Kya Hota

ہوئی مدت کہ غالبؔ مر گیا پر یاد آتا ہے

وہ ہر اک بات پر کہنا کہ یوں ہوتا تو کیا ہوتا

हुई मुद्दत कि ‘ग़ालिब’ मर गया पर याद आता है

वो हर इक बात पर कहना कि यूँ होता तो क्या होता

  • By:

Ae Wae Inqalab Zamane Ke Zaur Se Dilli

/Bahadur Shah Zafar Poetry/

bahadurshahzafarpoetry

Ae Wae Inqalab Zamane Ke Zaur Se
Dilli ‘Zafar’ Ke Hath Se Pal Mein Nikal Gai

ऐ वाए इंक़लाब ज़माने के जौर से,
दिल्ली ‘ज़फ़र’ के हाथ से पल में निकल गई

اے وائے انقلاب زمانے کے جور سے
دلی ظفرؔ کے ہاتھ سے پل میں نکل گئی

  • By:

Ek Tamanna Hai Faqt Mujh Pe Meherbaan Raho

/Chahat Shayari/Ghazal/

Ek Tamanna Hai Faqt Mujh Pe Meherban Raho

Tum Kisi Aur Ko Dekho Toh Bura Lagta Hai

Meri Chahat Ka Taqaza Hai Mere Sath Raho

Ghair Ka Hath Jo Thamo Toh Bura Lagta Hai

Arzoo Hai Tere Har Roop Ko Har Pal Dekhun

Tum Mere Paas Se Utho Toh Bura Lagta Hai

Roz o Shab Aaj Bhi Parwah Hai Tumhari Mujh Ko

Tum Kisi Aur Ko Socho Toh Bura Lagta Hai

Rooh Meri Tarasti Hai Tumhari Khushbu Ko

Tum Kahin Aur Ja Ke Meheko Toh Bura Lagta Hai

  • By: