Kadmon Mai Bhi Takan Thi Ghar Bhi

/Parveen Shakir Poetry/Urdu Love Poetry/Urdu Poetry Images/

Kadmon Mai Bhi Takan Thi Ghar Bhi Kareeb Tha
Par Kya Karen K Ab K Safar Hi Ajeeb Tha

قدموں میں بھی تکان تھی گھر بھی قریب تھا

پر کیا کریں کہ اب کے سفر ہی عجیب تھا

क़दमों में भी तकान थी घर भी क़रीब था

पर क्या करें कि अब के सफ़र ही अजीब था

Har Kadam Duri-e-Manzil Hai Numayan

/Mirza Ghalib Shayari/

Har Kadam Duri-e-Manzil Hai Numayan Mujh Se
Meri Raftar Se Bhage Hai Bayaban Mujh Se

ہر قدم دورئ منزل ہے نمایاں مجھ سے

میری رفتار سے بھاگے ہے بیاباں مجھ سے

हर क़दम दूरी-ए-मंज़िल है नुमायाँ मुझ से

मेरी रफ़्तार से भागे है बयाबाँ मुझ से

  • By:

Hai Kahan Tamana Ka Dusra Kadam

/Mirza Ghalib Shayari/

Hai Kahan Tamana Ka Dusra Kadam Ya Rub
Hum Ne Dasht-e-Imkan Ko Ek Naqsh-e-Pa Paaye

ہے کہاں تمنا کا دوسرا قدم یا رب

ہم نے دشت امکاں کو ایک نقش پا پایا

है कहाँ तमन्ना का दूसरा क़दम या रब

हम ने दश्त-ए-इम्काँ को एक नक़्श-ए-पा पाया

  • By:

Jo Tere Kadam Mere Ghar Chalein, mere saath

/Dil Shayari/Ghazal/Urdu Love Poetry/Yaad Poetry/

Jo Tere Kadam Mere Ghar Chalein
Mere Sath Shams o Qamar Chalein
Teri Qurbaton Mein Samait Loon
Raah e Zindagi Ki Musaaftein
Tere Naam Se Meri Subh Ho
Teri Yaad Mein Meri Shaam Ho
Tere Rubaru Rahein Surkhroo
Mere Chashm o Dil Ki Abaartein
Mere Roz o Shab Ke Nisaab Mein
Mere Paas Apna Toh Kuch Nahi
Tera Qarz Hai Meri Zindagi
Meri Saansein Teri Amaantein

  • By: