Jis ahd men luT jaae faqiron ki kamai

/Saghar Siddiqui Poetry/Two Line Shayari/

Jis ahd men luT jaae faqiron ki kamai
Us ahd ke sultan se kuchh bhuul hui hai

جس عہد میں لٹ جائے فقیروں کی کمائی

اس عہد کے سلطان سے کچھ بھول ہوئی ہے

जिस अहद में लुट जाए फ़क़ीरों की कमाई

उस अहद के सुल्तान से कुछ भूल हुई है

 

Ameer-Zadon Se Dilli Ke Mil Na

/Mir Taqi Mir Poetry/

Ameer-Zadon Se Dilli Ke Mil Na Ta-Maqdur
Ki Hum Faqeer Hue Inhin Ki Daulat Se

امیر زادوں سے دلی کے مل نہ تا مقدور

کہ ہم فقیر ہوئے ہیں انہیں کی دولت سے

अमीर-ज़ादों से दिल्ली के मिल ता-मक़्दूर

कि हम फ़क़ीर हुए हैं इन्हीं की दौलत से

  • By:

Kab Duaaon Ka Mohtaj Hota Hai, Ishq Toh

/Ghazal/Ishq Poetry/

Kab Duaaon Ka Mohtaj Hota Hai

Ishq To La Elaaj Hota Hai

Is Ke Apne Asool Hote Hain

Is Ka Apna Riwaaj Hota Hai

Ishq Ke Aieen Se Ibadat Hai

Ishq Rooh Ka Anaaj Hota Hai

Ishq Jismon Ko Sar Nahi Karta

Is Ka Zehno Pe Raaj Hota Hai

Ishq Me Shah Faqeer Hota Hai

Ishq Kanton Ka Taaj Hota Hai

Ishq Me Koi Hadh Nahi Hoti

Ishq Me Kal Na Aaj Hota Hai

Ishq Khud Hee Zulam Karta Hai

Ishq Khud Ehtajaaj Hota Hai

  • By: