Ye Bhi Ik Dhoka Tha Nairang-e-Tilism-e-Aql Ka

/Hafeez Jalandhari Shayari/Sad Urdu Poetry/Two Line Shayari/

Ye Bhi Ik Dhoka Tha Nairang-e-Tilism-e-Aql Ka

Apni Hastī Par Bhi Hasti Ka Hua Dhoka Mujhe

یہ بھی اک دھوکا تھا نیرنگ طلسم عقل کا

اپنی ہستی پر بھی ہستی کا ہوا دھوکا مجھے

ये भी इक धोका था नैरंग-ए-तिलिस्म-ए-अक़्ल का

अपनी हस्ती पर भी हस्ती का हुआ धोका मुझे

Jo un masoom ankhon ne diye the

/Aankhen Shayari/Dard Shayari/Firaq GorakhPuri Shayari/Sad Urdu Poetry/Two Line Shayari/Urdu Poetry Images/

Jo un masoom ankhon ne diye the

Wo dhoke aaj tak main kha raha hon

جو ان معصوم آنکھوں نے دیے تھے

وہ دھوکے آج تک میں کھا رہا ہوں

जो उन मासूम आँखों ने दिए थे

वो धोके आज तक मैं खा रहा हूँ

Kam se kam mout se aisī mujhe umeed nahi

/Dil Shayari/Firaq GorakhPuri Shayari/Sad Urdu Poetry/Shikwa Poetry/Two Line Shayari/Urdu Poetry Images/Zindagi Shayari/

Kam se kam mout se aisī mujhe umeed nahi

Zindagi tu ne to dhoke pe diya hai dhoka

کم سے کم موت سے ایسی مجھے امید نہیں

زندگی تو نے تو دھوکے پہ دیا ہے دھوکہ

कम से कम मौत से ऐसी मुझे उम्मीद नहीं

ज़िंदगी तू ने तो धोके पे दिया है धोका

Na Jaane Kaun Sa Aaseb Dil Mai Basta

/Dil Shayari/Parveen Shakir Poetry/

Na Jaane Kaun Sa Aaseb Dil Mai Basta Hai
Ki Jo Bhi Thahra Wo Akhir Makaan Chor Gaya

نہ جانے کون سا آسیب دل میں بستا ہے

کہ جو بھی ٹھہرا وہ آخر مکان چھوڑ گیا

जाने कौन सा आसेब दिल में बस्ता है

कि जो भी ठहरा वो आख़िर मकान छोड़ गया

Us Ne Mujhe Dar-Asl Kabhi Chaha Hi

/Chahat Shayari/Parveen Shakir Poetry/

Us Ne Mujhe Dar-Asl Kabhi Chaha Hi Nahi Tha
Khud Ko De Kar Ye Bhi Dhoka, Dekh Liya Hai

اس نے مجھے دراصل کبھی چاہا ہی نہیں تھا

خود کو دے کر یہ بھی دھوکا، دیکھ لیا ہے

उस ने मुझे दर-अस्ल कभी चाहा ही नहीं था

ख़ुद को दे कर ये भी धोका, देख लिया है

Wo Mujh Ko Chor Ke Jis Admi Ke Pass

/Bewafa Poetry/Parveen Shakir Poetry/

Wo Mujh Ko Chor Ke Jis Admi Ke Pass Gaya
Barabari Ka Bhi Hota To Sabr Aa Jaata

وہ مجھ کو چھوڑ کے جس آدمی کے پاس گیا

برابری کا بھی ہوتا تو صبر آ جاتا

वो मुझ को छोड़ के जिस आदमी के पास गया

बराबरी का भी होता तो सब्र जाता

Us K Yuun Tark-e-Mohabbat Ka Sabab

/Bewafa Poetry/Parveen Shakir Poetry/

Us K Yuun Tark-e-Mohabbat Ka Sabab Hoga Koi
Jee Nahi Ye Manta Wo Bewafa Pehle Se Tha

اس کے یوں ترک محبت کا سبب ہوگا کوئی

جی نہیں یہ مانتا وہ بے وفا پہلے سے تھا

उस के यूँ तर्क-ए-मोहब्बत का सबब होगा कोई

जी नहीं ये मानता वो बेवफ़ा पहले से था

 

Wafa Ki Kon Si Manzil Pe Us Ne Chora Tha

/Bewafa Poetry/Mohsin Naqvi Poetry/Tanha Shayari/Two Line Shayari/Yaad Poetry/

Wafa Ki Kon Si Manzil Pe Us Ne Chora Tha
K Wo To Yaad Humain Bhool Kar Bhi Aata Hai

وفا کی کون سی منزل پہ اس نے چھوڑا تھا

کہ وہ تو یاد ہمیں بھول کر بھی آتا ہے

वफ़ा की कौन सी मंज़िल पे उस ने छोड़ा था

कि वो तो याद हमें भूल कर भी आता है