Dilli Mai Aaj Bheek Bhi Milti Nahi Unhen

/Mir Taqi Mir Poetry/

Dilli Mai Aaj Bheek Bhi Milti Nahi Unhen
Tha Kal Talak Dimag Jinhen Taj-o-Takht Ka

دلی میں آج بھیک بھی ملتی نہیں انہیں

تھا کل تلک دماغ جنہیں تاج و تخت کا

दिल्ली में आज भीक भी मिलती नहीं उन्हें

था कल तलक दिमाग़ जिन्हें ताज-ओ-तख़्त का

  • By:

Baitha Hai Jo Ki Saya-e-Deewar-e-Yar Mai

/Mirza Ghalib Shayari/Two Line Shayari/

Baitha Hai Jo Ki Saya-e-Deewar-e-Yar Mai
Farman-Rava-e-Kishwar-e-Hindustan Hai

بیٹھا ہے جو کہ سایۂ دیوار یار میں

فرماں رواۓ کشور ہندوستان ہے

बैठा है जो कि साया-ए-दीवार-ए-यार में

फ़रमाँ-रवा-ए-किश्वर-ए-हिन्दुस्तान है

  • By:

Dhoop Mein Saaya e Deewar Zaroori Toh Nahi

/Ghazal/Nafrat Shayari/Pyar Shayari/

Dhoop Mein Saaya e Dewaar Zaroori Toh Nahi,

Ab Tere Baad Koi Pyar Zaroori Toh Nahi

Hum Tere Ek Ishaaray Pe Kata Dein Ser,

Ho Tere Hath Mein Talwaar Zaroori Toh Nahi

Mere Elaan e Baghawat Se Salaamat Reh Jaye,

Teri Baadshaahi Tera Darbaar Zaroori Toh Nahi

Nafratein Phaink Ke Aa Phir Se Galay Lag Jaaein,

Aisa Moqa Mile Har Baar Zaroori Toh Nahi

Jeet Lungi Tujhe Duniya Se Mera Vaada Hai,

Har Baar Ho Meri Haar Zaroori Toh Nahi

  • By: