Khushbu jaise log mile afsane men

/Gulzar Shayari/Two Line Shayari/

Khushbu jaise log mile afsane men
Ek purana khat khola anjane men

خوشبو جیسے لوگ ملے افسانے میں

ایک پرانا خط کھولا انجانے میں

ख़ुशबू जैसे लोग मिले अफ़्साने में

एक पुराना ख़त खोला अनजाने में

Roshan Sheher Se Mutasir Na Kar, Main

/Heart Touching Shayari/Urdu Poetry Images/

heart touching shayari

Roshan Sheher Se Mutasir Na Kar,
Main Hasee’n Veerane Mein Hun

Haqeeqat Pe Meri Nazar Na Kar,
Main Kitaabi Afsane Mein Hun

،روشن شہر سے متاثر نہ کر
میں حسیں ویرانے میں ہوں

،حقیقت پہ میری نظر نہ کر
میں کتابی افسانے میں ہوں

  • By:

Yeh Ishq Nahi Aasan Poetry – Yeh Ishq Nahi Aasan Shayari

/Aankhen Shayari/Ghazal/Ishq Poetry/Urdu Shayari Mohabbat/

Yeh Ishq Nahi Aasan Poetry

Yeh Kiska Tasawar Hai, Yeh Kiska Fasana Hai,

Jo Ashk Hai Aankhon Mein Tasbih Ka Dana Hai

Aankhon Mein Nami Si Hai Chup Chup Se Woh Baithe Hain,

Nazuk Si Nigaahon Mein Naazuk Sa Fasana hai

Yeh Ishq Nahi Aasaan Itna Toh Samajh Lijiye,

Ek Aag Ka Dariya Hai Aur Doob Ke Jana Hai

Yaa Woh Thay Khafa Hum Se Ya Hum Thay Khafa Unse,

Kal Unka Zamana Tha Aaj Apna Zamana Hai

 

Yeh Ishq Nahi Aasan Shayari

 

Masoom Mohabbat Ka Bus Itna Fasana Hai
Kaghaz Ki Haveli Hai Barish Ka Zamana Hai

Kya Shart e Mohabbat Hai Kya Shart e Zamana Hai
Awaaz Bhi Zakhmi Hai Aur Geet Bhi Gaana Hai

Us Per Utarnay Ki Umeed Bohat Kam Hai
Kashti Bhi Puraani Hai Aur Toofan Ko Bhi Aana Hai

Samjhay Ya Na Samjhay Wo Andaaz Mohabbat Ka
Aik Shakhs Ko Aankho Se Aik Shair Sunana Hai

Yeh Ishq Nahi Aasan Bus Itna Samajh Lijiye
Aik Aag Ka Dariya Hai Aur Doob Kar Jana Hai

  • By: